Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwajah  Abu Hubairah

 

Rahmatullah Alayh

 

Hazrat  Khwajah Abu Habira Basri ka talluq Basrah se tha. Aap  Rahmatullah Alayh Ikaber waqt mein se thay aur Hazrat Khwajah  Huzaifah Marshi  Rahmatullah Alayh ke mureed o khalifa Azam thay. Aap  Rahmatullah Alayh ka laqab amin al Deen tha .

 Khwajah Abu Habira Basri satrah saal ki Umar mein aloom e zahiri se farigh ho gaye thay Hazrat Khwajah  Huzaifah Marshi  Rahmatullah Alayh ke mureed honay se pehlay aap  Rahmatullah Alayh ne teeas saal riyazat Shaqeh mein guzaray lekin mureed honay ke baad aik hi hafta mein maqam e qurb haasil ho gaya aur aik saal baad khilafat mili. Jis din Khirqah khilafat aataa howa is din se namak aur shukar tark kar di aur lazzat kaam o dhan  se dast bardaar hue. aap is qader rotay thay kay baaz auqaat hazreen ko andesha hota kay aap fot ho jayen ge. Aap sahib e alii karamat o mqamat e arjmand thay

 Khwajah Abu Habira Basri 7 Shawal 278 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue